% \startsong \stitle{aa chal ke tujhe mai.n le ke chaluu.n}% \film{Door Gagan Ki Chhaaon Mein}% \year{1964}% \starring{Kishore, Supriya Chowdhury, Amit Kumar}% \singer{Kishore}% \music{Kishore}% \lyrics{Kishore}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde, Vinay P Jain % Credits: Akash Sharma (akash@brahms.udel.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Kaustubh Pingle % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % aa chal ke tujhe, mai.n le ke chaluu.n ik aise gagan ke tale jahaa.N Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho bas pyaar hii pyaar pale ik aise gagan ke tale suuraj kii pahalii kiraN se, aashaa kaa saveraa jaage (2) cha.ndaa kii kiraN se dhul kar, ghanaghor a.ndheraa bhaage (2) kabhii dhuup khile kabhii chhaa.Nv mile lambii sii Dagar na khale jahaa.N Gam bhii no ho, aa.Nsuu bhii na ho \threedots jahaa.N duur nazar dau.D aae, aazaad gagan laharaae jahaa.N ra.ng bira.nge pa.nchhii, aashaa kaa sa.ndesaa laae.n (2) sapano me palii ha.Nsatii ho kalii jahaa.N shaam suhaanii Dhale jahaa.N Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho \threedots aa chal ke tujhe mai.n le ke chaluu.n \threedots sapano.n ke aise jahaa.N me.n jahaa.N pyaar hii pyaar khilaa ho ham jaake wahaa.N kho jaae.N shikawaa naa koii gilaa ho koii bair na ho, koii Gair na ho sab milake yuu.N chalate chale.n jahaa.N Gam bhii na ho, aa.Nsuu bhii na ho \threedots aa chal ke tujhe mai.n le ke chaluu.n \threedots % #endindian \endsong %