% ITRANS SONG \startsong \stitle{apanii tasviir ko aa.Nkho.n se lagaataa kyaa hai}% \film{Enchanting Hour (Non-Film)}% \year{1984}% \starring{}% \singer{Ghulam Ali}% \music{}% \lyrics{Shehzad Ahmed}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 % This is also in "The Best of Ghulam Ali". \printtitle #indian apanii tasviir ko aa.Nkho.n se lagaataa kyaa hai ik nazar merii taraf bhii teraa jaataa kyaa hai merii rusvaa_ii me.n wo bhii hai.n baraabar ke shariiq mere qisse mere yaaro.n ko sunaataa kyaa hai paas rah kar bhii na pahachaan sakaa tuu mujhako duur se dekh ke ab haath hilaataa kyaa hai umr bhar apane girebaa.N se ulajhane waale tuu mujhe mere hii saaye se Daraataa kyaa hai mai.n teraa kuchh bhii nahii.n huu.N magar itanaa to bataa dekh kar mujhako tere zahan me.n aataa kyaa hai % not in the version I heard safar\-e\-shauq me.n kyuu.N kaa.Npate hai.n paa.Nv tere duur se dekh ke ab haath hilaataa kyaa hai mar gaye pyaas ke maare to uThaa abr\-e\-karam bujh ga_ii bazm to ab shammaa jalaataa kyaa hai #endindian \endsong