% ITRANS SONG \startsong \stitle{faisalaa tumako bhuul jaane kaa}% \film{Kehna Usey (Non-Film)}% \year{1984}% \starring{}% \singer{Mehdi Hasan}% \music{Niaz Ahmed}% \lyrics{Farhat Shahzad}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 \printtitle #indian faisalaa tumako bhuul jaane kaa ik nayaa Kaab hai diiwaane kaa dil kalii kaa laraz laraz uThaa zikr thaa phir bahaar aane kaa hausalaa kam kisii me.n hotaa hai jiit kar Kud hii haar jaane kaa zi.ndagii kaT ga_ii manaate hu_e ab iraadaa hai ruuTh jaane kaa aap shahazaad kii na fikr kare.n wo to aadii hai zaKm khaane kaa #endindian \endsong