% ITRANS Song #21104 % \startsong \stitle{jise paayaa wo saaz-e-zi.ndagii ka ek sholaa thaa}% \film{(Non-film)}% \year{}% \starring{}% \singer{Talat Mahmood}% \music{C K Chauhan}% \lyrics{Zafar Gorakhpuri}% % % Audio on: HMV % Tags: Nazm, Urdu % Contributor: Badr % Transliterator: Badr % Date: 15 Oct 2006 % Series: % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20090905. % \printtitle #indian % jise paayaa wo saaz\-e\-zi.ndagii ka ek sholaa thaa mai.n tere shahar me.n ai dost pahalii baar aayaa thaa mai.n apane dil ke har kone me.n har zarre me.n jhaa.Nk aayaa yahaa.N koii nahii.n koii nahii.n mere siwaa ab tak yahaa.N mai.n kal bhii tanhaa thaa yahaa.N mai.n ab bhii tanhaa huu.N wahii aa.Nsuu wahii aahe.n wahii dil kii ghuTan ab tak wahii Gam phir mujhe ab duur se aawaaz detaa hai jo mujhako ek din is shahar tak pahu.Nchaane aayaa thaa pahaa.Dii waadiyo.n ke biich mere gaa.Nv kii maaTii mujhe parades ke Gam se chhu.Daa letii to achchhaa thaa mai.n ik chalataa huaa laashaa huu.N in a.njaan galiyo.n me.n tuu is laashe ko siine se lagaa letii to achchhaa thaa % #endindian \endsong