% \startsong \stitle{chiraaG dil ke jalaao ki iid kaa din hai}% \film{}% \year{}% \starring{}% \singer{Jagjit Singh, Chitra Singh}% \music{}% \lyrics{}% % % Contributor: Irfan Moinuddin % Transliterator: K Vijay Kumar % Comments: Album - Tareef Us Khuda Ki % \printtitle #indian % chiraaG dil ke jalaao ki iid kaa din hai taraane jhuum ke gaao ki iid kaa din hai Gamo.n ko dil se bhulaao ki iid kaa din hai Kushii se bazm sajaao ki iid kaa din hai taraane jhuum ke gaao ki iid kaa din hai huzuur us ke karo ab salaamatii kii duaa sar\-e\-niyaaz jhukaao ki iid kaa din hai taraane jhuum ke gaao ki iid kaa din hai sabhii muraade.n ho puurii.n har ek savaalii kii duaa ko haath uThaao ki iid kaa din hai taraane jhuum ke gaao ki iid kaa din hai % #endindian \endsong %