% \startsong \stitle{gulashan kii faqat phuulo.n se nahii.n ##(Jagjit Singh ghazal)##}% \film{non-Film}% \year{}% \starring{}% \singer{Jagjit Singh}% \music{Jagjit Singh}% \lyrics{Saba Afghani}% % % Contributor: Ramesh Hariharan (rameshh@acad1.tp.ac.sg) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Jul 27 1995 % Credits: U.V. Ravindra (uvr@tata_elxsi.soft.net) % Irfan Moinuddin (moin@helix.midway.uchicago.edu) % Editor: % Comments: % \printtitle #indian % gulashan kii faqat phuulo.n se nahii.n kaa.nTo.n se bhii ziinat hotii hai jiine ke liye is duniyaa me.n Gam kii bhii zaruurat hotii hai ai vaa_iz\-e\-naadaan karataa hai tuu ek qayaamat kaa charchaa yahaa.N roz nigaahe.n milatii hai.n yahaa.N roz qayaamat hotii hai vo purasish\-e\-Gam ko aaye hai.n kuchh kah na sakuu.n chup rah na sakuu.n Kaamosh rahuu.N to mushkil hai kah duu.N to shikaayat hotii hai karanaa hii pa.Degaa zaqat\-e\-alam piine hii pa.De.nge yah aa.Nsuu fariyaad\-o\-fuGaa.n se ai naadaan tauhiin\-e\-mohabbat hotii hai jo aake ruke daaman pe 'sabaa' vo ashq nahii.n hai.n paanii hai jo aa.Nsuu na chhalake aa.Nkho.n se us ashq kii qiimat hotii hai % #endindian \endsong %